Friday, May 25, 2012

Bachpan





Parking mein khadi gaadiyon ke tyre ki hawa nikalna,
Ladka banne ki zid mein chup kar baal katna,
Building ki lift mein kabhi upar to kabhi niche sair karna,
Kamra band karke daddy ki taraha tel malish karna,
To kabhi mummy ko bathroom mein band kardena aur chaah ke bhi na khol pana,
Phir unka kissi tarah darwaza khol kar bahar aaker mujhe rooti ko chup karwana,
Kabhi bhaiya ka cycle par mujhe ghumana to kabhi mera bed ki niche chup jaana,
Jab school na jaane ki zid karna to behno ka mil kar school ke liye mujhe taiyaar karna,
Mera kaam tha naye naye gano par dance karke nakhre dikhana,
Aur sab ka kaam tha mujhe bahut saara pyaar karna.

Paida hui to maa baap ki aankh ka taara hogayi,
Jab badi hui to bhaiya aur behenon ki dulaari hogayi,
Kabhi bachpan mein pari hua karti thi jag saare ke liye,
Ab ek pari hai mere paas jo mere liye jag saara ho gayi.