Parking mein khadi gaadiyon
ke tyre ki hawa nikalna,
Ladka banne ki zid mein chup
kar baal katna,
Building ki lift mein kabhi
upar to kabhi niche sair karna,
Kamra band karke daddy ki
taraha tel malish karna,
To kabhi mummy ko bathroom
mein band kardena aur chaah ke bhi na khol pana,
Phir unka kissi tarah
darwaza khol kar bahar aaker mujhe rooti ko chup karwana,
Kabhi bhaiya ka cycle par
mujhe ghumana to kabhi mera bed ki niche chup jaana,
Jab school na jaane ki zid
karna to behno ka mil kar school ke liye mujhe taiyaar karna,
Mera kaam tha naye naye gano
par dance karke nakhre dikhana,
Aur sab ka kaam tha mujhe
bahut saara pyaar karna.
Paida hui to maa baap ki
aankh ka taara hogayi,
Jab badi hui to bhaiya aur
behenon ki dulaari hogayi,
Kabhi bachpan mein pari hua
karti thi jag saare ke liye,
Ab ek pari hai mere paas jo mere liye jag saara
ho gayi.
No comments:
Post a Comment